Jung




Chalo aaj ladna hai hame,
Waqt aya hai desh ke liye ladne ka,
Chalo aaj ladna hai hame.

Kahi jaana nahi,
jaha hai wahi se to ladna hai.

Kisi ko khona nahi,
pane ke liye to ladna hai.

Apno ko chod jaana nahi,
Sang hi to ladna hai.

Sarhad par un jawano ki tarah nahi,
Ghar me surakshit rehke to ladna hai.

Zara dekho desh ke jawano ko,
Ghar ane ko taraste hai,
Ghar ke khane ko taraste,
Apno se milne ko tadapte hai.
Unki hi to mehnat hai,  ki aaj hum salamat hai.

Zara dekho charo aurrr,
Kitne aise log hai jo doosro ke liye lad rahe hai.

Kuch karna kaha hai hame,
Bina kuch kare hi to ladna hai.

Hathiyaro se nahi,
Sayyam se hi to ladna hai.

Dekho to zara,
Ye dushman bhi nyote se hi ghar ko atta ha.
Nyota na deke hi to ladna hai.

Hame ghar rehke hi to ladna hai.
Hame ghar rehke hi to ladna hai.